Khamoshiyan
Yeh waqt hai kuch khamoshiyon ka,
Jo chuppi si banayi baitheen hain,
Yeh waqt hai un uljhanon ka,
Jo bina uljhe na samajh mein ani hain,
Yeh waqt hai kuch sawalon ka,
Jinke jawaab na hasil aasani se,
Yeh waqt hai kuch faslon ka,
Jinke rishte na kachche dhage hain….
Is waqt mein hai yeh khamoshi,
Har ek ne jo mano sajaai hai,
Kuch zaroori, toh kuch bewajah,
Akhir yeh wajah bhi satati hai……
Khamoshi yeh humari hai,
Khamoshi jo tumhari hai…….
Aakriti