It’s interesting how life plays magic with seconds
that pass, or even days and months all together.
Kal tak hum baithe te Dilli ki galiyon mein
Darte the akele ghoome ya baithein
Toh yeh zamane ke log sochenge kya
Gazab hai yeh zindagi
Aur lamhon ki chan chan
Jo ek pal ko dooje se aise jode
Ki taar bane, bune, gaye, sharmaye se
Aj hum khud mein hain
Ek khushi si hai
Khud se pyaar karne mein
Khud ko kareeb se samajhne mein…..
Aj akele reh kar bhi akele nahin hain hum
Bharosa, dosti…ek ishq sa ho chala hai….
Unke saath…sochenge aap…
Arre janaab…khud se ishq karne ki baat hi kuch aur hai…..
1 comment:
Wah! Wah! beautiful composition.
Regards,
Jahid
Flashbacks
Post a Comment