Sunday, July 14, 2013

Shabd-e-Kalam


Yeh joh shabd yahan hum bunte hain
Wahan door kahin kisi kone mein
Inhe lapet kar koi hasta toh koi rota hai
Gustakhi nai kijiyega huzoor, yeh shabd nahi jaan hain
Ink ek ek daane mein hai base kain lamhe
Kuch sehme, kuch darre
Kuch ankahe, kuch kareeb aur kuch gambhir

Yeh joh andikhe dhage hain
Woh dhage nahi kisse hain
Apke, mere, unke,
Zahir hue, chupe kisi kone mein
Zahir hue, tode kaeen rishte

Aj jab beete dinon ki yaad mein
Hum sang baithe hain, inke, apke aur apne sath
Kaeen kisse yaad karte hain
Jab shabdon ki pehchaan na thi
Kuch tohfe samay ke sath diye jate hain
Umar ka kya kahein
Apne mein hi ek paheli hai……


Aakriti


2 comments:

Freespirit said...

It's indeed very beautiful . I really enjoyed reading it :)

Cifar said...

shurawat behad zordaar hai par aisa lagta hai ye kavita/ghazal apni manzil nahin pa payee,anyway nice read

You may also like:)

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...