Monday, December 13, 2010

KUCH SAWAAL



Dear All, this is my very first attempt with hindi poetry, and I'm very nervous and anxious at how this will be received.
A sudden thought of how I used to write hindi led me to write a poem in hindi too. So here it goes( Fingers crossed)...


Yeh zindagi ki dastan,
Ek ajeeb paheli hai.
Yeh rishte jo pal mein bante,
Pal mein tootte, jaise do saheli hain.

Jab doori chahi, toh nazdeek bulakar,
Ghamon ko bandhe, jaise ek kone mein,
Aur jab paas aana chaha,
Toh mano waqt hi ho gaya (jaise paraya).

Lamhein bhi ajeeb khel hain,
Jis raftaar par badalte,
Usi par chalkar door hote hain.

Prashn par prashn tang karte hain,
Yeh bhi zindagi ka chakkar chalte hain.

Jo jawaab mile, milte hi kho jate hain,
Is luka chuppi ke khel mein,
Hum na jeette na harte hain.

Abhi toh jeena shuru kiya hai,
Is bhaag daur ke khel mein,
Abhi toh shararat chooti hai,
Is zindadil dil mein.

Kyun na karun sawaal?
Yeh zindagi meri hai,
Kheloongi woh bhi magn hokar,
Kya hua, agar paheli hai?

2 comments:

Seema said...

Well tried.Nice I like it.

Aakriti said...

Hey Seema..well this was last yr. have written two more since then. thnks for coming by:) and for liking it!

You may also like:)

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...